Islam chunk sirf aik deen / mazhab hi nahi bulky insan k liye
mukamal zabita-e-hayat hey iss liye iss zabta-e-hayat main insan ki zindgi sy
wabasta har masly ka hal moojood hey jaisy k lain dain k mu'amlaat , wrasat k
mu'amlaat , haqooq-o-frayz waghaira ...inhi masloon main aik masla insan ki
mu'aash sy jurra howa hey jis k liye islam main apna aik maliyati nizam moojood
hey.
iss nizam ki buniyadi waja afrat-e-zar ko rokna aur ghurba
aur masakeen ki maali muwanat bila heel-o-hujjat karna hey.
yeh sadqa , khairaat , zakat , ushar , khumas ussi maliyati
nizam ki mukhtilaf haltain hain laiken inn sab ki adaygi main khuda ta'ala ny
aik khas tarteeb aur farq rakh chorra hey ...iss tarteeb k peechy shaid khuda
ta'ala ki yeh mashiyat ho k insan kaheen iss maliyaati nizam ko apny uper bhooj
na samj ly..aur iss ki adaygi ko gra'n janty howey kaheen tark hi na
krdy..walla ho ilam bis-swab.
- Sadqa kia Hy ? Koun si Cheez sadqa meiN di jasakti hy ? Sadqay kay kia ahkamat haiN?
- Zakat kia hy ? Zakat kay aikamat kia haiN ?Kounsay maal per zakat farz hy ?
- Khairat kia Hy ?Khairat oar Zakat meiN kia Farq hy?
- Oshar kia Hy? iss kay kia aikamat haiN ?Oshar oar zakat meiN kia farq hy?
- Khoms kia hy? iss kay kia aikamat haiN ?Khoms oar Zakat meiN kia farq hy?
Sadqa k Haqdaar:
Ghareeb / nadar / miskeen / bewa / yateem / begunah aseer /
lawaris talib ilam / donation per chalny wala islamic madrissa etc etc…
Sadqa k barey main khukam hey k agar kisi sha'khas ko sadqa
ada karna maqsood ho to sab sy pehly sadqa ki adaygi main apny ghareeb rishtaa
daroon ko tarjeeh di jaye laiken adam dastiyaabi ki sorat main haqdar hamsaya
ko sadqa diya jaye ye b possible na ho to haqdaar ahl-e-muhalla / ahl-e-ilaqa
waghaira ko sadqa diya ja skta hey ..wallah ho ilam bis-swab.
sadqa ki adaygi k barey main aik khukam yeh b hey k sadqa ada
karty waqt kisi nadar ya haqdaar ki ankhoon main ankhain dal kar ada na kiya
jaye ta'k kaheen uss haq dar ki ankha main jhalkny wali majboori aur be kasi
sadqa ada karny waly k andar takab'bar / gharoor k beej na boo dy.
No comments:
Post a Comment