Altaf
Hussain
The founder
and leader of MQM Altaf Hussain was born in 17, September 1953 a poor family in
Karachi. His grand father Mualana Mufti Ramzan Hussain was the Mufti Aagra UP
India. He is a great religious scholar. Altaf Hussain father was stationmaster
in India. His father Nazeer Hussain After independence migrated to Pakistan and
appointed as a clerk in a factory . Altaf Hussain father was death on 13 March
1967. His mother was expired on 5th December 1985. In this page you will read
Altaf Hussain in Urdu and Roman Urdu.
Biography of Altaf Hussain In Urdu
Pakistan
mein awami saisat ko aik naya rukh aur naya cheyhrah danay walay Muttahida
Qaumi Movement kay bani aur Quaid Janab Altaf Hussain 17 September 1953 ko
Karachi mein aik ghareb gharanay mein paida huye. Unkay walid Nazeer Hussain
aur walda Khursheed Begum dono ka taluq India kay sehar Aagrah kay mazhabi
gharano say tha. Altaf Hussain kay dada Maulana Mufti Ramzan Hussain Aagrah UP
kay Mufti aur Jaiyad Alam-a-deen thay. Unkay nana Haji Hafiz Reheem Bhux deeni
aur adabi hawalay say sehar kay moaziz aur qabilay ahtaram hashti thay. Altaf
Hussain kay walid India mein station master thay. 1947 Pakistan kay azadi kay
baad hijrat kar kay Pakistan agaye aur Karachi mein aik factory mein clerk
moqarar huye. Janab Altaf Hussain ki family pahlay Karachi mein Jahangir Road
kay sarkari coater mein rahtay thay.
13 March
1967 ko Janab Altaf Hussain ke Walid Mohtaram Nazeer Hussain ka Inteqal huwa
aur walida mohtarma ka intaqal 5 December 1985 ko huwa. 1970 ki dehaye mein
Altaf Hussain ki family Faderal B Area Block- 8 mein Azizabad ke aik makan mein
muntaqil hogaya. 120 gaz ka ghar na sirf Altaf Hussain ki rehayish gah balkay
siasi sar garmiyoon ka markaz bhi hai. Is ghar ko Pakistan ki siasat mein aik
aa'la makam hasil hai jisay hurf-e-aam mein 90 kay nam say duniya janti hai.
Altaf
Hussain Education:
Altaf
Hussain nay 1969 mein Government Boys Secondary School Jail road say Matric
pass keya. 1970 mein app city college mein inter science kay talib ilm thay.
General Yahya Khan ki hukumat nay lazmi fouji service ka aik mansubah national
cadet service iskeem shuru kiya. Jis kay tehat har Matric pass noujawan ko aik
saal tak lazmi tour par fouji khidmat anjam daina thein. Chunanchay Altaf
Hussain bhi iss iskeem kay leye muntakhib huye. Ibtadai taur par tarbiat
Karachi cantt say shuru ki phir Hyderabad cantt muntaqil ho gay iss dauran
Mashriqi Pakistan mein jang chir gaie. Dauran jang hi national cadet service
iskeem kay tamam cadetton ko 57 Baloch Regiment mein tabdel kar dia gaya phir
inhein makran kay sahil par waqay bandargah sonmiani mein tarbiat di gaye. Ye
tarbiyati course aik saal mein mokammal kar laynay kay baad app nay
Intermediate ki sanad li. 1974 mein Janab Altaf Hussain Islamia college say BSc
(pre medical group) ki digre hasil ki. jamia Karachi say B.Pharmacy kar nay kay
baad M.Pharmacy mein dakhla leya lakin university chornay par majbur hogaye.
Janab Altaf Hussain nay Karachi kay seven day hospital mein batour traine kam
keya aur do Multinational Medicine Companies mein bhi molazmat ki.
APMSO:
App ki amli
siasat ka agaz jamia Karachi ( Karachi University) say batour talib ilm hua.
Altaf Hussain nay Mahajir tulba ko monazzam kar kay 11 June 1978 ko APMSO All
Pakistan Mahajir Student Organization ki bunyad rakhi aur iss kay bani chair
man banay. Ye tulba tanzem fouran iss qadar mqbul hogai kay dusri tulba jamaton
ka nishana bannay lagi. Jo iss ki maqboiyat say ahsas-e-adam tahaf fuz ka
shikar ho gai thein. Yon university campus mein aaye roz tashaddud ka silsilah
shuro hogaya. Altaf Hussain ko pehli bar 14, August 1979 mein griftar kar leyah
gaya aur woh nou (9) mah tak qaid mein rahay. Rahai kay baad app nay mahajir
tulba tanzeemo ko puray Karachi mein motariq-o- monazam kar nay ka faisala kiya
aur apnay iss faisla ko amli jama pehnanay kay leyeh Altaf Hussain nay rufqaiy
kar kay sath mil kar gair mamuli mahnat say 20 -20 rupay chanda lay kar tanzeem
kay tarufi ketabche shuru keye. Karachi kay tamam ilaqon Korangi, Golimar,
Maler, New Karachi, FB area, Nazimabad gizri kay tamam Karachi mein MQM ka tuti
bolnay laga. Yon ye tanzeem baad mein bani lakin iss ko shorat pahalay mili.
Mahajir
Qaumi Movement:
18 March
1984 ko MQM yani Mahajir Qaumi Movement kay qayam ka ailan hua. 1984 mein iss
kay tashkeeli dour mein Karachi mein lasani fsadat ka aagaz hua to MQM aik bari
siasi jamat ki haisiat say samnay aie in fasadat nay Altaf Hussain ki shohrat
aur badnami donon mein azafa kiya. Karachi kay fasadat kay dauran hi Altaf
Hussain nay Sindh kay dusray shahron kay , jahan mahajir bakasrat abad thay
wasi dauray kiye aur MQM kay leye akhlaqi hamaiat hasil ki. Iss ka natijah ye
hua kay Karachi samait Sindh kay tamam Sehron mein MQM Hindustan say anay walay
Mahajren ki sab say bari siasi jamat ban gai . youn iss daur say aj tak honay
walay tamam intakhabat mein Karachi samait Sindh kay dusray ilaqon mein mahajir
abadi walay ilaqon mein MQM hi kay umedwar kamyab hotay hain.
Sindh mein
barhtay huay tashddud kay waqayat mein Fouji operation ka agaz 19, June 1992 ko
hua. MQM apni suhrat ki wajah say iss operation ka khasusi nishana bani. Iss
daur mein MQM pur tashdud amaze siasat mein hissa lanay aur torture sell
chalanay kay ilzamat lagaye gaye. Altaf Hussain aur un kay sathiyon par qatal
aur dosray jaraim kay hawalay say moqadmat qaim keye gaye. Iss daur mein Altaf
Hussain aur unkay sathiyon kay darmian akhtalafat nay janam leya aur yuon
alehdah Afaq Ahmed, Amir Khan, Bader Iqbal, Mansoor Chacha nay alag hokar apni
jamat MQM Haqiqi ki buniad rakhi. Amir Khan kuch arsa pehlay Janab Altaf
Hussain aur unki jamaat Muttahida Qaumi Movement say apni ghalti ki maafi mang
kar Muttahida mein shamil hogaye hain.
Muttahida
Qaumi Movement:
Altaf
Hussain nay baqi sathiyon kay mashwaray say 26 July 1997 ko MQM ka naam Mahajir
Qaumi Movement say tabdil kar kay Muttahidah Qaumi Movement rakha gaya. Jis
mein sirf mahajir saiasat say hat kar tamam mazloom tabqoon ko aik hi plate
form par jama karnay ki baat ki gaie. Qaumo kay mustaqbil ki tameer hukumrano
kay haton mein nahi balkay quaideen kay fikar aur amal par hoti hai aur Altaf
Hussain ka mison Pakistan kay mazloom quaim ki tameer ka mission hai.
Altaf
Hussain Aur Pakistani Siasat:
Ye aik
haqiqat hai kay Muttahida Qaumi Movement kay Quaid Janab Altaf Hussain nay
Pakistani aqwam kay darmiyan faroye aur taa'sobi ikhtalafat ko khtam karnay ki
har mumkin koshishein kein iss mein woh kafi had tak kamyab bhi hoye. Janab
Altaf Hussain nay apni siasi basirat Pakistani siasi mumlat par qabo hasil
karlia hai. 2002 kay intakhabat kay baad Altaf Hussain ki party Muslim league
(Q) kay sath itahad keya aur hukumat mein shamil hui. youn unkay bohot say jila
watan rahnuma wapis ayae Sindh kay Governor ka uhda bhi unki party MQM ko mila.
Parvez Musharraf kay hamayaton mein iss jamat ka shumar hota raha aur aaj tak
Altaf Hussain aur unki jamat Parvez Musharraf kay leye narm gosha rakhtay hain.
2008 kay intakhabat (Election) mein apni dairina mokhalif Pakistan Peoples
Party kay sath unka itahad hua. youn Altaf Zardari bhai bahi ka nara samnay aya
. Altaf Hussain aaj bhi London mein moqeem hain aur wahan party ke
international secretariat se party ke muamalat chala rahay hain. Janab Altaf
Hussain Pakistani siasat ki aik mottanaza shakhsiyat hain. Jin kay chahnay waly
aur mokhalfeen donon ki tadad lakhon mein hain. Altaf Hussain par bohot say
ilazmat lagaye gai hain. Unhain dahshatgard aur qatil tak kaha gaya hai. Tamam
hukumaton ki taraf say unhain aik mujrim sabit karnay ki koshish ki gaie hai.
Naserullah Babar Imran Khan aur Zulfikhar Mirza jaisay logon nay Britannia
jakar bhi unkay khalaf qanuni karwai kar nay ka alan kia lakin iss sab kay
bawajud woh apni jagah par qaim aur mustehkam hain. Altaf Hussain ki maqbuliat
mein har guzartay din kay sath azafa hi hua koi kami nahi aie aur na unkay
mokhalif apnay tamam tar dawon kay bawajud unhain hilanay mein nakam rahay.
Muttehida Qaumi Movement kay quaid Altaf Hussain bohot si khubiyon kay malik
honay kay sath sath kuch halqoon mein muttanaza siasi shakhsiyat kay taur par
bhi pehchanay jatay hain. Altaf Hussain Pakistan say bahar honay kay bawajod
Pakistani siasat mein aik aham markaz ki haisiat rakhtay hain aur unki taqarer
aur bayanat hamashah am-o-khas ki tawajjah hasil kartay rahay hain.
NRO:
Pakistan
mein NRO kay silsilay mein jo shuro galga utha woh isi waqt thamnay mein aya
jab Janab Altaf Hussain nay NRO ki mokhalfat kartay huye Sadar-e-Pakistan Janab
Asif Ali Zardari ko mashwarah dia kay woh doston ki baat manain aur agar
Pakistan mein istehkam lanay kay silsilay mein unhain koi qurbani bhi daina
paray to woh us say draig na karain. Altaf Hussain ki taraf say do tok alfaz
samnay anay par aik dam sab kuch thanda par gaya aur Wazeer-e-Azam ki taraf say
NRO ko manzuri kay leye parliament mein pass na kar nay ka alan kar dia gaya.
Altaf Hussain ka ye musbat faisla jahan unki sakhsiyat ko mazeed mustehkam kar
nay ka bais bana wahein iss say ye bhi zahir hua kay Pakistan mein na rehnay
kay bawajud unki baton mein katna wazan aur ahmiyat rakhti hai.

No comments:
Post a Comment